बुधवार, 2 नवंबर 2011

"इंडिया-न्यूज़" मैगज़ीन (21.10.2011) में प्रकाशित मेरी एक और ग़ज़ल


दिल के बिल्कुल क़रीब होते हैं,
वो जो सच्चे हबीब होते हैं 

आपका साथ जिनको मिल जाए,
वो बहुत ख़ुशनसीब होते हैं 

मौत से वो डरा नहीं करते,
आप जिनके तबीब होते हैं 

अपनी परवाज़ भूल जाते हैं,
क़ैद जो अंदलीब होते हैं 

मौत को ज़िंदगी बनाते हैं,
ऐसे भी कुछ सलीब होते हैं 

क़द्र मां-बाप की नहीं करते,
वो बड़े बद-नसीब होते हैं 

दौलत-ए-दिल जिन्हें मयस्सर हो,
वो कहां फिर ग़रीब होते हैं 

बा-इरादा जो हार जाते हैं,
ख़ूब क्या वो रक़ीब होते हैं 

छोड़ दे शायरी तू ऐ ’शमसी’,
शेर तेरे अजीब होते हैं । 
---मुईन शमसी 
Word-meanings : Habeeb=Dost, Tabeeb=Doctor, Parwaaz= Udaan, Andaleeb=Bulbul, Saleeb=Sooli, Mayassar=Uplabdh, Baa-irada=Jaanboojh kar, Raqeeb=Pratidwandwi.
----------------------------------------------------------------------------------- 

Dil ke bilkul qareeb hote hain,
wo jo sachche habeeb hote hain 

aapka saath jinko mil jaaye,
wo bahut khush-naseeb hote hain 

maut se wo daraa nahi karte,
aap jinke tabeeb hote hain 

apni parwaaz bhool jaate hain,
qaid jo andaleeb hote hain 

maut ko zindagi banaate hain,
aise bhi kuchh saleeb hote hain 

qadr maa-baap ki nahi karte,
wo badey bad-naseeb hote hain 

daulat-e-dil jnhe mayassar ho,
wo kahaan phir ghareeb hote hain 

baa-iraada jo haar jaate hain,
khoob kya wo raqeeb hote hain 

chhod de shaayari tu aiy 'shamsi',
sher tere ajeeb hote hain. 
---Moin Shamsi