शुक्रवार, 20 अगस्त 2010

MAAH-E-SIYAAM ME (Kalaam-e-Ramzaan)

HAR SHAY JUDAA-JUDAA LAGEY MAAHE SIYAAM ME, 

 PAANI ME BHI MAZAA LAGEY MAAHE SIYAAM ME. 


 BANDAA HO TANDURUST MAGAR ROZA NA RAKHEY, 

 ALLAH KO YE BURA LAGEY MAAHE SIYAAM ME. 


 HO DHOOP CHAANDNI YA SAMANDAR HAWAA SHAJAR, 

 SAB KUCHH NAYA-NAYA LAGEY MAAHE SIYAAM ME. 


 QAABU HAI KITNA NAFS PE HAR ROZEDAAR KO, 

 DUNIYA KO YE PATAA LAGEY MAAHE SIYAAM ME. 


 MASJID NAMAAZIYON SE HAI ‘SHAMSI’ BHARI HUI, 

 MANZAR YE KHUSHNUMA LAGEY MAAHE SIYAAM ME।

इसे सुनना चाहें तो यहाँ तशरीफ लायें

https://youtu.be/x0TdmswBsPk 

गुरुवार, 19 अगस्त 2010

RAMZAAN AA GAYAA (A Ramzaan song)

RAMZAAN AA GAYAA SUNO RAMZAAN AA GAYAA, 
BAARAH MAHEENO KA HAI YE SULTAAN AA GAYAA.

 HAR SHAKHS TILAAWAT-O-TARAAWEEH ME HAI MASROOF, 
 ALLAH KE GHAR HAR EK MUSALMAAN AA GAYAA. 

 BEHKA SAKEGA NA KISI MOMIN KO IN DINO, 
 AB EK MAAH KI QAID ME SHAITAAN AA GAYAA. 

 AHKAAM-E-ILAAHI SABHI DUNIYA KO SUNAANE,  
IS MAAHE MUQADDAS ME YE QUR-AAN AA GAYAA. 

 HAASIL KARO DARJE, KARO KASRAT SE IBAADAT, 
 HAR GHAR ME YE ALLAH KA FARMAAN AA GAYAA.

 JAB TAK RAHEGA GHAR MERE BARKAT BADHAAYEGA, 
 MAAHE SIYAAM BAN KE WO MEHMAAN AA GAYAA. 

 GHAAFIL THA JO EEMAAN SE, MUDDAT SE WO DEKHO,
 AAJ HAQ KI RAAH ‘SHAMSI’-E-NAADAAN AA GAYAA.

TO LISTEN IT, VISIT:  

https://youtu.be/LT4n-lpLCDI